Aapke Love partner me hai . Ye bat to aap Lucky ho! Love tips,
Hello friends, mai Ritesh Raj ek bar fir love & relationship tips leker aya hu.
Aapko vo gaana to yaad hi hoga.
,,Har kisi ko nahi milta yaha pyar zindagi me,,
Par pyar bhi tabhi milega jab aapko koi better patrner mile. Lekin aaj har kisi ko better partner nahi milta.par kuch khush naseeb hote hai. Jinke partner Emotionally
Intelligent hote hai.
Aaj hum guno ke bare me baat karne wale hai. Ye sab ek Emotionally Intelligent logo me hi hota hai. Emotional logo ke bare me to aapne suna hi hoga. Par emotional log do tarah ke hote hai. Ek jo sirf emotional hote hai. Aese log sirf bichare emotional fool hi bante hai. Or ye duniya aese logo ka fayda hi uthati hai.
Par hum dusre tarah ke logo ke bare me bat karte hai. Jo apne emotional ka sahi use karte hai. Isliye aese logo ko emotinally intelligent kehte hai. Aese log jeevan ke har roll me best hote hai. Kuki aese logo ko koi murkh nahi bana sakta .
Usme emotions to jada hi hota hai. Par vo kisi ki jhutti bato me nahi faste.
Unke enotions ka behtar use karke vo ek sandar jeevan jeete hai. Or aese logo ke jo love partner hote hai. Unhe kabhi bhi kisi chiz se fariyad nahi hone dete. To chaliye jante hai kya khaas hota hai. Aese love partner me.
1.) maaf kar sakte hai :
Agar koi insaan jo aapko pyar karta hai. Tabhi vo aapko maaf karega aapki maaf na karne layek galtiyo ko bhi maaf karenge. Or aese log emotionally fool hote hai. Par agar aapka partner Emotionally intelligent hai to vo aapke bare me sochega ki aapse ye galti ku hua. Vo sirf aapki upper gussa nahi karega or na hi aapke sath koi bura babhar karega, to ye bahut hi acchi tarah se jaan or samjh lete hai ki aapse koi galti ku hui ?
Agar unhe lagta hai ki aapse galti hui hai to aese log aapko sahi rasta dikhenge. Aapko aapki galti se aesa rasta dikhenge ki aap apni hi galti se apni life me bahut jada sikh sakte ho.
Kuki aese log ye samjh sakte hai. Ki behter se behter insan se galti hoti hai.
Par kabhi bhi insan ko apni galti ko dubara nahi karna cahiye. Or apni galtiyo se hamesa sikhne cahiye.
Aese logo me ye khaas gun hote hai. Or unka ye gun bhi sabse kamaal ka hota hai. Agar aese log aapko kehte hai ki vo aapko call karenge to samjh hi lijiye ki kuch bhi ho jaye vo aapko call karenge. Agar vo aesa kam nahi kar sakte to vo aapko koi jhutta wada nahi karenge.
Unki commitment ke karan log unke upper bahut bishwas karte hai. Kabhi bhi koi unki kisi bat ko jhutta nahi kahenge.
Aese log apni choti se bhi choti commitment ka bhi khyal rakhte hai. Ek relationship me commitment kitna zaruri hota hai. Ye mujhe aapse batana nahi parega.
Aese log kabhi bhi kisi ke sath dhokha nahi karenge.
Kuki aesa karna unke liye khud mumkin nahi hota. Kuki aesa karna khud unke liye khudko dhokha dene ke barabar hota hai.
3.) dusro ke liye hum dardi rakhte hai!
Sirf itna kahna galat hoga ki vo dusro ke liye hum dardi rakhte hai. Vo dusro ke dard or emotion ko samjhte hai is liye kabhi bhi aese log apni wajah se dusre ko dukhi nahi karte hai.
Jadatar relationship me girlfriend or boyfriend ke bich me problems hote hai to dono sirf apne bare me sochte hai. Ki unke partner ke karan unhe kitna taqlif ho rahi hai.
Par aese log sirf apne taqlifo ke bare me nahi sochte vo ye bhi sochte hai ki mere kya karne se mere partner ko kesa legaga.
Aese logo ko pata hota hai ki aapko kese khush rakha ja sakta hai. Is liye vo kabhi bhi aesa nahi hone dete jisse aapko koi taqlif ho or hamesa vo kuch aesa karte rahte hai. Jisse aap hamesa unse khush raho. Or aap hamesa unko jada pyar karo.
Aese log kabhi bhi choti si bato par jhagre nahi karenge. Kuki vo jante hai ki apne risto ko kese sambhal kar rakhne hai. Aese log kabhi bhi gusse me aapke sath kesa bhi babhar nahi karenge. Or aapko kuch bhi galat nahi bol denge. Jiske karan unhe bad me pachtana pare.
4.) purane relations se sikhte hai!
Waise to aese logo ke sath jo relationship me aate hai. Unse koi problems nahi hota. Or unke sath koi jhagre bhi nahi hote par agar aese logo ke sath koi galat insan relation banata hai to aese bhi apne fail hue relationship se aese log behter tarah se nibhana sikhte hai.
Apne purane relationship ke karan vo jada smart ho jate hai. Or ye sikh lete hai ki kese vo ek behter partner ban sakte hai. Aese logo ki ek khasiyat hoti hai ki vo apne jeevan me kabhi bhi apni galti ko dusri bar hone nahi dete. Apni galtiyo se jada se jada sikhte hai.
Agar apne purane relationship me unka partner unse khush nahi hota to ye janne ki koshis karte hai ki ku unka partner unse khush nahi tha. ? Or iske bad vo apne new relationship me is bat ka pura khyal rakhte hai ki vo apne purame relationship ke galtiyo ko fir se na doharye.
To dosto mai ummid karta hu ki aapko meri ye post pasand ayi hogi , aapko ye post kesi lagi mujhe comment me zarur batana . Or apne dosto ke sath ise share zarur karna . Thanks,
By- Ritesh Raj,
Very nice it's a true fact of life
ReplyDelete